yun khabar kise thi meri teri mukhbiri se pahle main masarraton mein gum tha teri dosti se pahle tere husn ne jagaya mere ishq-e-be-baha ko teri justuju kahan thi mujhe shairi se pahle tu sharik-e-zindagi hai main hun gham-gusar tera tera gham raha hai shamil meri har khushi se pahle de agar mujhe ijazat jo mera zamir mujh ko main tujhe khuda bana lun teri bandagi se pahle tere husn ki kahani mere ishq ka fasana bahut aam ho chuka hai gham-e-ashiqi se pahle tujhe rahnuma bana kar mujhe mil gai hai manzil main bahut bhatak raha tha teri rahbari se pahle kaho mir-e-karwan se mujhe is tarah na dekhe main bada farakh-dil tha kabhi dil-lagi se pahle ye mata-e-ranj-o-gham aur shab-e-hijr ka ye 'alam' tha kahan mera muqaddar teri be-rukhi se pahle