ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah bas gaya tha mere andar koi khushbu ki tarah koi saya na mila saya-e-gesu ki tarah sare jiwan ki thakan utri hai jadu ki tarah meri aawaz tujhe chhu le bas itni mohlat tere kuche se guzar jaunga sadhu ki tarah wo jo aa jae to kya hosh ka aalam hoga jis ke aane ki khabar phaili hai khushbu ki tarah zindagi pyar wafa sab ka muqaddar yaksan muskurahat ki tarah hai kabhi aansu ki tarah har taraf aag laga aae ho phir puchhte ho kyun chali baad-e-saba ab ke baras lu ki tarah shaeri teri ibaadat ke siwa kuchh bhi nahin kar raha hun main tapasya kisi sadhu ki tarah har alam sath raha gard-e-safar ki manind har khushi rah mein mujh ko mili jugnu ki tarah zindagi thokaren khati hai bichhad kar tujh se teri pazeb ke tute hue ghunghru ki tarah koi ishwar kahe us ko ki khuda koi kahe wo musalman ki tarah hai na wo hindu ki tarah apni har sans pe ehsan liye ham-dardon ka zindagi jita hun is ahd mein urdu ki tarah ab ye ehsas ki khubi ho ki khami ho 'nur' us ki nafrat ka dhuan bhi laga khushbu ki tarah