yun KHud ko KHwahishat ke akasr dikhae rang

yun khud ko khwahishat ke akasr dikhae rang
holi mein jaise koi akele udae rang

dil se bhula ke zehn ki viraniyon ka gham
diwar-o-dar pe sab ne hain kya kya sajae rang

taswir jo banai hai apnon ke waste
dar hai ki us mein log na dhunden parae rang

tohfe main dun kisi ko ye hasrat hi rah gai
muddat se chutkiyon mein hun main bhi dabae rang

rangini-e-hayat ne us se wafa na ki
jis ne meri nigah mein akhtar basae rang


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close