yun na begana raho git sunati hai hawa dil ki sargoshi suno git sunati hai hawa zindagi saz hai is saz pe naghme chhedo tum bhi kuchh khwab buno git sunati hai hawa raat ke pichhle pahar khwab-libaada taj kar aaj tum khud se milo git sunati hai hawa rah mein aaengi chattanen bahut si lekin mauj ke sath baho git sunati hai hawa shab ke sahil pe kai jugnu dikhai denge koi ghamgin na ho git sunati hai hawa aisi chahat mein nahin koi qabahat lekin apna bhi dhyan rakho git sunati hai hawa khushbuon ko koi taqsim kahan kar paya sarhaden tod bhi do git sunati hai hawa manzilen badh ke tere qadmon ka bosa lengi ye safar tai to karo git sunati hai hawa thak ke jo baithe to toli se bichhad jaoge aage hi badhte chalo git sunati hai hawa