zamana guzra hai lahron se jang karte hue kabhi to par lagun dubte ubharte hue bade hi shauq se ek aashiyan banaya tha main kaise dekhun use tutte bikharte hue kabhi to zehn ke parde pe naqsh ubhrega ye sochta hun tasawwur mein rang bharte hue har ek maqam pe tufan ne daboch liya jahan jahan bhi chhupa aandhiyon se darte hue wo bund bund qayamat wo nur nur badan kisi ne dekha hi kab hai use sanwarte hue wo meri zat se ab bad-guman nahin shayad tabhi to dekh nahin sakta mujh ko marte hue