yun na koi teri mahfil mein pareshan ho jae jaise aawaz-e-saba dasht mein hairan ho jae muntazir hain meri aahat ki balaen kitni ek mushkil to nahin hai ki jo aasan ho jae chaak-e-daman hi zamane se nahin hota rafu aur agar sina kabhi chaak-e-gareban ho jae pech-dar-pech hai yun silsila-e-zulf-e-hayat hath lagte hi jo kuchh aur bhi pechan ho jae dagh-e-dil jalne lage bujh gai har sham-e-tarab yun hai to yun hi sahi ghar mein charaghan ho jae mujh pe qadghan hai ki main bazm mein khamosh rahun aur khamoshi hi jo ruswai ka saman ho jae nashtar-e-shauq ke hathon gul-e-sad-barg hai dil khub ho ab jo ye nazr-e-dam-e-tufan ho jae kyun na phir jalne lagen rashk se virana-o-dasth shahr jab dil ki nigahon mein bayaban ho jae dil ko sauda hai rahe rang-e-shafaq pesh-e-nazar gham ko ek taur to bahlane ka saman ho jae raushni sham ki sun pae na aawaza-e-shab mohr-e-zartab ka aafaq se paiman ho jae baat is aankh mein poshida hai wo 'arsh' ki jo lab se nikle to mere sine pe paikan ho jae