zanjir se uthti hai sada sahmi hui si jari hai abhi gardish-e-pa sahmi hui si dil tut to jata hai pe girya nahin karta kya dar hai ki rahti hai wafa sahmi hui si uth jae nazar bhul ke gar jaanib-e-aflak honton se nikalti hai dua sahmi hui si han hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne namnak nigahon mein haya sahmi hui si taqsir koi ho to saza umr ka rona mit jaen wafa mein to jaza sahmi hui si han hum ne bhi paya hai sila apne hunar ka lafzon ke lifafon mein baqa sahmi hui si har luqme pe khatka hai kahin ye bhi na chhin jae mede mein utarti hai ghiza sahmi hui si uthti to hai sau bar pe mujh tak nahin aati is shahr mein chalti hai hawa sahmi hui si hai 'arsh' wahan aaj muhit ek khamoshi jis rah se guzri thi qaza sahmi hui si