yun na pine mein basar umr ki har sham karo shauq-e-rindi hai to saqi se nazar aam karo phir na aaenge nazar aise muqaddas chehre jo baqa bakhshen unhen duniya mein wo kaam karo hai kudurat se to phir bhik se thokar achchhi apni badnami se achchha hai mera nam karo but hain das bis magar chahne wala dil ek ek ek kar ke mohabbat se unhen ram karo chhed do zikr kisi nargis-e-mastana ka samne mere na tum zikr-e-mai-o-jam karo tum ko fursat ho agar banne-sanwarne se nadim ishq farmane se behtar hai ki aaram karo jaisa gum-sum hai 'kanwal' chot hai gahri khai aaj tum us ko rula do to bada kaam karo