yun na tapka tha lahu dida-e-tar se pahle dekhna aag lagi phir usi ghar se pahle jaise jaise dar-e-dildar qarib aata hai dil ye kahta hai ki pahunchun main nazar se pahle nama-e-yar padhun main abhi jaldi kya hai nama-bar ko to laga lun main jigar se pahle be-hijabi jo sahi hai teri shokh aankhon ki rasm parde ki uthegi isi ghar se pahle ai 'jalil' aap bhi kis dhyan mein hain khair to hai khwahis-e-qadr-e-hunar kasb-e-hunar se pahle