yun paband-e-salasil ho kar kaun phire bazaron mein khud hi qaid na ho jaen kyun apni hi diwaron mein raat ke lamhon ki sangini dil ko dasti rahti hai jism sulagta rahta hai tanhai ke angaron mein raushniyon ke shahr andheron ke jadu mein dub gae bujhne lagi ho nur ki mashal jaise chand-sitaron mein dard ke tapte sahra mein ek aabla-pa sar-gardan hai tum ko kya tum jashn manao khushiyon ke gahwaron mein main koi suqraat na tha jo zahr ka pyala pi jata main khud kaise dub sakunga apne lahu ki dhaaron mein shahr ki rahen raqs-kunan hain rang faza mein bikhra hai kitne chehre saje hue hain in chamkili caron mein