zad-e-rah bhi nahin be-rakht-e-safar jate hain sakht hairat hai ki ye log kidhar jate hain be-khudi mein tere diwane jidhar jate hain manzilen puchhti phirti hain kidhar jate hain waqt pad jae to hum sina-sipar jate hain nam hi nam nahin kaam bhi kar jate hain hae kis mod pe haalat ne pahunchaya hai aap ham-sae se hum sae se dar jate hain ohde-daron mein bhi khushbu hai hasinon ki si wada kar lete hain aur saf mukar jate hain aap ja sakte nahin chand-sitaron se pare hum wara-e-had-e-idrak-e-nazar jate hain aap ke tanz sar aankhon pe magar yaad rahe ye wo nashtar hain ke sine mein utar jate hain jab bhi hota hai kahin tazkira-e-mehr-o-wafa bhule-bisre hue kuchh naqsh ubhar jate hain ilm ke sath saliqa ho to phir kya kahna rang-e-uslub' se afkar nikhar jate hain aap dekhen ye meri nind se bojhal aankhen ho chuki raat ijazat ho to ghar jate hain zulf kholo to ghani chhanw main kuchh susta len do-ghadi ke liye sae mein thahar jate hain zakhm alfaz ke nasur hua karte hain baat zakhmon ki nahin zakhm to bhar jate hain hum to warafta-e-ulfat mein hamara kya hai aaj ye raat gae aap kidhar jate hain kuchh na kuchh hote hain har shahr mein fan ke parakh qadr hoti hai jahan ahl-e-hunar jate hain lakh sanjida sahi 'taj' hasinon ki rawish dil uda lene ke andaz kidhar jate hain