yun samajh lo ki ba-juz nam-e-khuda kuchh na raha jal ke is aag mein sab khak hua kuchh na raha kis ka sar kis ki rida kis ka makan dhundte ho qatl o ghaarat mein to koi na bacha kuchh na raha hum kisi aur ke hone ki khabar kya dete gum hue aise ki apna bhi pata kuchh na raha kachche rangon ki tarah ud gae sare hi huruf kore kaghaz pe tha jo kuchh bhi likha kuchh na raha 'mohsin' is tarah luti mahfil-e-saz-o-awaz gul-e-naghma na koi barg-e-nawa kuchh na raha