mil mil ke doston ne wo di hai dagha mujhe ab khud pe bhi nahin hai guman-e-wafa mujhe uf ibtida-e-shauq ki masum justuju har phul tha chaman mein tera naqsh-e-pa mujhe ai khinchne wale dekh meri be-panahiyan aati hai dushmanon se bhi bu-e-wafa mujhe duniya tumhein aziz hai mere siwa magar aalam hai na-pasand tumhaare siwa mujhe karti nahin ubur tumhein meri justuju kya kar diya hai tum ne ye kya ho gaya mujhe wazan bhi hans pada hun to phir dil se muddaton aai karahne ki sada par sada mujhe phir baat baat mein hai lachak iltifat ki kya phir dikhaoge koi khwab-e-wafa mujhe ye hai fughan ka zor to phir wo chuka qafas kar degi meri shoala-nawai riha mujhe kotahi-e-nazar se ahata na ho saka milne ko yun mila hai buton mein khuda mujhe meri wafa pe aap hi chin-bar-jabin nahin main khud bhi sochta hun ye kya ho gaya mujhe jis muddaa-e-shauq ki daryaft hain huzur mayus kar raha hai wahi muddaa mujhe ek ziq ek azab ek andoh ek tadap tum ne ye dil ke nam se kya de diya mujhe un ko ganwa ke haal raha hai ye muddaton aaya khayal bhi to bada gham hua mujhe iflas ke shabab-e-muqaddas mein barha aaya hai puchhne mere ghar par khuda mujhe 'ehsan' apne waqt pe maut aaegi magar jine ka mashwara nahin deti faza mujhe