yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin main jo chahun bhi to ek dar se nikalne ka nahin main ne jo khauf piroya tha ragon mein apni aisa baitha hai ki andar se nikalne ka nahin baad koshish ke natija ye nikala main ne zindagi main tere chakkar se nikalne ka nahin khinch late hain haqiqat mein hawadis warna aadmi khwab ke mehwar se nikalne ka nahin sar patakhta nahin pinjre mein parinda yunhi shauq-e-parwaz kabhi par se nikalne ka nahin ek sadak aur mera aathwan daswan chakkar aur mujhe ilm hai wo ghar se nikalne ka nahin apne andar yun chhupae hain sanam patthar ne but koi tesha-e-azar se nikalne ka nahin gham-e-dauran bhi hai yun jaise mera yaum-e-hisab main to duniya mein bhi mahshar se nikalne ka nahin dhons deta hai ye suraj mujhe har sham 'hasan' wo jo duba to samundar se nikalne ka nahin