bhid aisi hai ki mujh ko rasta milta nahin gul koi khilta nahin shoala koi uthta nahin ai mere shauq-e-talab tere junun ki khair ho tu ne kya had-e-nigah ka fasla dekha nahin ai ghurur-e-husn main tere badan ka aks hun mahw-e-hairat hun ki tu ne mujh ko pahchana nahin ek pal mein ye rida-e-ab mein chhup jaengi rang ki lahron ke pichhe bhagna achchha nahin dil jahan le jae dil ke sath jaana chahiye is se badh kar aur koi rahnuma hota nahin jis ke jalwaon ne azal se muztarib rakkha mujhe wo to mere samne bhi aaj tak aaya nahin