yun sang-dil hayat se ahd-o-wafa kiya diwar darmiyan thi magar khud ko wa kiya mitti ka rang-o-nur se rishta qadim tha har bar zindagi ne naya tajraba kiya the dastaras mein yun to sab asrar-e-kaenat is umr-e-bewafa ne magar na-rasa kiya har ajnabi maqam se tanha guzar gae apna hi naqsh-e-pa tha jise rahnuma kiya chamka diya lahu ne dil-e-tira-jism ko ek sail-e-nur tha ki ragon mein baha kiya danista lut gaya ye saman-zar dekhna phulon ne nikhaton ko sipurd-e-saba kiya ye raat raushni ki tamanna mein bujh gai dil ko ye kis shikast ne be-muddaa kiya yun to jahan tamam hai tufan-e-rang-o-nur kis aabshaar ne hamein rangin-nawa kiya