ye sitam ek khwahish-e-mauhum par lutf farma khatir-e-maghmum par ai masarrat mere gham-khane se dur ye girani aur mere maqsum par pursish-e-haalat-e-gham se darguzar rahm farma ab dil-e-marhum par banda-parwar sirf itni arz thi farz kuchh khadim ke hain makhdum par sabr karti hi rahi be-chaargi zulm hota hi raha mazlum par kya mubassir dida-e-khun-bar tha tabsira karta raha maqsum par ek tabassum tha jawab-e-arzu wusaten qurban huin mafhum par ibtida-e-gham ki dur-andeshiyan shad hon anjam-e-na-malum par aaj tak 'akbar' hun main sabit-qadam jada-e-khuddari-e-mauhum par