yun sang-e-intizar se kab tak bandhe rahen diwar-e-na-rasai hi kyun dekhte rahen guzre na koi zud-faramosh umr-bhar aur be-sabab gali ke dariche khule rahen tum se gila-guzar hai apni ye be-ghari kab tak tumhaare khwab se bahar pade rahen haalat wahi hai aaj bhi hum sang-o-khisht ki rakh de koi jahan pe wahin par dhare rahen yunhi khade rahen kisi manzil ki aas mein gard-e-malal-e-hijr se raste ate rahen puchhe mere masiha-nafas se koi 'naim' taq-e-badan mein zakhm kahan tak jale rahen