baala-e-baam ghair hai mein aastan par chahen jise chadhaen huzur aasman par kyun na-murad aah gai aasman par tute na aasman kahin meri jaan par ruswaiyan hain sath wo chhup kar hazar jaan sau sau ke sar jhuke hain qadam ke nishan par aana use zarur go hon lakh ehtimam aashiq hai un ki nind meri dastan par tha raaz-dar-e-husn wo kafir jo kah gaya mashuq dil ki baat na laen zaban par un ki gali mein raat mein is waza se gaya ghabra ke pasban gire pasban par nazuk si tegh-e-yar hai kya zahr ki bujhi khae hue hai zahr mere imtihan par bante hain shokhiyon se wo suraj bhi chand bhi naqsh-e-qadam bhi aap ke hain aasman par khalwat mein bhi chali hain kahin sina-zoriyan is tarah aap tan ke uthe kis guman par zikr-e-mai-e-tahur ne tadpa diya 'riyaz' jaana pada hamein kisi unchi dukan par