yun sitam dhae gae hain tere diwane par zakhm khud girya-kunan hai mere afsane par mujh ko yaksar hi alag rahna pada hai tum se aisa hota hai kahin ishq ke mar jaane par pahle yak-lakht chale aate the milne ke liye ab tawajjoh bhi nahin hai mere chillane par sozish-e-gham ka charaghon ko kahan andaza raat chikh uthti hai jalte hue parwane par main samajhta tha mera dil hai meri manega usi kafir ka hua jata hai samjhane par dard-e-furqat hi meri maut ka saman hai 'qamar' dil kisi taur bahalta nahin bahlane par