wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha main dekhta raha manzar ye raat bhar tanha hui hai jaise abhi tak guzar-basar tanha guzar dalenge baqi ka bhi safar tanha pukarta hun tera nam jaise sahra mein hamesha aati hai aawaz laut kar tanha uqab udta hai jis tarah aasmanon mein bulandiyon mein kiya karta hun safar tanha hamesha rahta hai hamrah qafila us ke musibat aati nahin hai kisi ke ghar tanha wo muntazir hai koi us ke sae mein aae khada hai dur rah-e-haq pe ek shajar tanha sharik qafila hota to jashn ho jata mile the khizr safar tha mera magar tanha chali gai hai tere sath zindagi 'jawed' main ho gaya hun tere baad kis qadar tanha