yun sunahri dhup bikhri hai rukh-e-kohsar par jis tarah ghaza chamakta hai tere rukhsar par udte lamhon ko pakadne ki tamanna hai abas ye parinde to kabhi tikte nahin ashjar par wo mere chehre pe kya mazi ki tahriren padhe us ki nazren to jami hain aaj ke akhbar par aaj to ek hadisa us ko bhi nanga kar gaya lakh parde the pade jis shakhs ke kirdar par aarzu ye hai ki tu ai kash ho jae amar nam tera likh raha hun ret ki diwar par kaise kaise log aakhir kis tarah raunde gae kaun hai 'betab' qadir waqt ki raftar par