yun tasawwur mein basar raat kiya karte the lab na khulte the magar baat kiya karte the hae wo raat ki soti thi khudai sari hum kisi dar pe munajat kiya karte the yaad hai bandagi-e-ahl-e-mohabbat jis par aap bhi fakhr o mabahat kiya karte the hum kabhi mo'takif-e-kunj-e-haram ho kar bhi sajda-e-pir-e-kharabaat kiya karte the yaad karta hai usi ahd-e-guzishta ko 'shafiq' jab tum altaf o inayat kiya karte the