munh pherta nahin hai kisi kaam se badan bikhra pada hai aaj magar sham se badan bhula nahin hai ab bhi tera lams-e-akhiri lo phir sihar utha hai tere nam se badan muddat mein jis tarah koi bichhda hua mile aise lipat gaya hai dar-o-baam se badan chhilke to bund bund mere jism par gire chipka liya hai main ne tere jam se badan thoda to chalne phirne de mujh ko mere hakim thak sa gaya hai roz ke aaram se badan