yun tere hijr mein aankhon se sitare tute jaise sailab se dariya ke kinare tute shaq hui jaise zamin jaise falak tut pada aah wo waqt ki jab hum se hamare tute aakhirash aaj tera gham bhi hua dil se juda rafta-rafta sabhi jine ke sahaare tute meri aankhon mein har ek samt hai laq-daq sahra khwab bikhre kabhi rangin nazare tute ahl-e-dil pyar se mahrum hue hain aise jaise mahngai mein iflas ke mare tute dekhta rah gaya wo khelne wala bachcha us ke hathon mein achanak jo ghubare tute 'ehtisham' ek na pine ki qasam bhi dekhen ahd-o-paiman to miyan aap ke sare tute