yun bhi hoti hai sakhawat is ka andaza na tha bhik us ghar se mili jis ghar ka darwaza na tha shukriya tera nigah-e-naz tera shukriya muntashir is tarah apne dil ka shiraaza na tha ab na mustaqbil ayan hai aur na mazi ke nuqush waqt ka chehra bahut shaffaf tha ghaza na tha thi mujhe duniya se nafrat tha mujhe logon se bair aap par to band mere dil ka darwaza na tha napne aae the mujh ko gharq ho kar rah gae doston ko meri gahrai ka andaza na tha ye hui uqda-kushai dar-haqiqat baad-e-marg zist maidan-e-amal thi koi khamyaza na tha sehn-e-gulshan mein mili aksar dobara tazgi dosto kunj-e-qafas mein zakhm-e-dil taza na tha qais wo batla raha tha khud ko lekin 'ehtisham' koi bhi sang-e-malamat koi aawaza na tha