yun tere husn ki taswir ghazal mein aae jaise bilqis suleman ke mahal mein aae jabr se ek hua zaeqa-e-hijr-o-visal ab kahan se wo maza sabr ke phal mein aae ye bhi aaraish-e-hasti ka taqaza tha ki hum halqa-e-fikr se maidan-e-amal mein aae har qadam dast-o-gareban hai yahan khair se shar hum bhi kis marka-e-jang-o-jadal mein aae zindagi jin ke tasawwur se jila pati thi hae kya log the jo dam-e-ajal mein aae