yun teri chap se tahrik-e-safar tutti hai jaise palkon ke jhapakne se nazar tutti hai bojh ashkon ka utha leti hain palken meri phul ke wazn se kab shakh-e-shajar tutti hai zindagi jism ke zindan mein ye sanson ki salib hum se todi nahin jati hai magar tutti hai koi jugnu koi tara nahin lagta raushan zulmat-e-shab mein jab ummid-e-sahar tutti hai kitne andeshon ki kirchen si bikhar jati hain ek chaudi bhi kalai se agar tutti hai ab siwa neze pe suraj nahin aata hai 'salim' ab qayamat bhi ba-andaz-e-digar tutti hai