yun thani raat teri yaad se takrar-e-khayal gungunati rahi har aan shab-e-tar-e-khayal chhod kar mere dar-o-baam wo mastur to hai ban ke rahta hai magar naqsh-ba-diwar-e-khayal mand padne lagi jab aaina-e-dil ki jila ek hi aks dikhane laga zangar-e-khayal ho ke khushbu-e-gul-e-raaz udega ek din kab talak qaid rahega pas-e-diwar-e-khayal tujh se qaem hai mera silsila-e-wahm-o-yaqin tujh ko dekhunga kisi roz sar-e-dar-e-khayal harf-o-mani ki tag-o-dau ka natija ye hua apni aahat se bhi darne laga rahwar-e-khayal na kahin jins-e-giran hai na kharidar koi kaisa sunsan pada rahta hai bazar-e-khayal nukta-chin dil na tha aur rah-e-safar mushkil thi log har mod pe karte rahe izhaar-e-khayal yaad aaya mujhe us shakhs ka jaana 'nasir' jis ki sharminda-e-ehsan hai raftar-e-khayal