ab to ye bhi nahin raha ehsas dard hota hai ya nahin hota ishq jab tak na kar chuke ruswa aadmi kaam ka nahin hota tut padta hai dafatan jo ishq besh-tar der-pa nahin hota wo bhi hota hai ek waqt ki jab ma-siwa ma-siwa nahin hota hae kya ho gaya tabiat ko gham bhi rahat-faza nahin hota dil hamara hai ya tumhaara hai hum se ye faisla nahin hota jis pe teri nazar nahin hoti us ki jaanib khuda nahin hota main ki be-zar umr bhar ke liye dil ki dam-bhar juda nahin hota wo hamare qarib hote hain jab hamara pata nahin hota dil ko kya kya sukun hota hai jab koi aasra nahin hota ho ke ek bar samna un se phir kabhi samna nahin hota