yun to aashiq tera zamana hua mujh sa jaan-baz dusra na hua khud-ba-khud bu-e-yar phail gai koi minnat-e-kash-e-saba na hua main giraftar-e-ulfat-e-sayyaad dam se chhut ke bhi riha na hua khabar us be-khabar ki la deti tujh se itna bhi ai saba na hua un se arz-e-karam to kya karte hum se khud shikwa-e-jafa na hua ho ke be-khud kalam-e-hasrat se aaj 'ghaalib' ghazal sara na hua