chashm-e-saqi ka jo ima ho gaya rind-e-mai-kash shaikh sana ho gaya mar gaya main ab to hat puri hui lo meri jaan ab to kahna ho gaya har giran jaan ko hi shauq-e-jins-e-dard kis qadar sasta ye sauda ho gaya aafat-e-jaan teri qahr-aluda chashm rahat-e-jaan tera hansna ho gaya kuchh na dekhi hum ne tasir-e-fughan rote rote ek zamana ho gaya aa gai jab yaad us bedard ki dard sa ek dil mein paida ho gaya aamad aamad se mere saffak ki hashr mein ek hashr barpa ho gaya dil uda kar le gai us ki nazar wo pari-ru muft ruswa ho gaya dekh kar aaina wo but ban gae mujh se badh kar un ko sakta ho gaya 'hasrat'-e-diwana dil de kar unhen ek zamane ka tamasha ho gaya