yun to haji bhi tha mulla bhi tha wo pir bhi tha

yun to haji bhi tha mulla bhi tha wo pir bhi tha
misal-e-sais magar tera inan-gir bhi tha

sainkadon tarah ki chizen thin dinner mein lekin
ye to farmaen wahan qima-e-khinzir bhi tha

yun to mizhgan ke kataron se musallah the sabhi
mah-wash un mein koi dast-ba-shamshir bhi tha

meri hi aankh ka tinka nazar aaya sab ko
warna kuchh logon ki aankhon mein to shahtir bhi tha

padh ke collage mein bhi masjid ki imamat hi mili
is mein kuchh shaiba-e-khubi-e-taqdir bhi tha

na hua hashim-e-ayyar ke dil mein surakh
ai shikari tere tarkash mein koi tir bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close