yun to hamare bich koi fasla nahin phir bhi hamare bich koi wasta nahin nakaami-e-safar ka sabab kuchh na puchhiye manzil to samne hai magar rasta nahin rahta hun mast-e-khwab sitaron ki chhanw mein is shahr mein mujhe koi pahchanta nahin alfaz ko baratne ka malum hai hunar phir bhi main un ke samne kuchh bolta nahin 'jauhar' wo mujh ko chhod ke tanha chala gaya phir bhi mujhe yaqin hai wo bewafa nahin