yun to har ek ne ki rasm ada mere baad

yun to har ek ne ki rasm ada mere baad
kar na paya koi takmil-e-wafa mere baad

main ne anjam diye kar-e-numayan jo bhi
ba-wafa koi bhi wo kar na saka mere baad

kaun samjhega taqaddus jo hai bahr-e-gham ka
zindagi ko koi sahil na mila mere baad

sajda-e-shukr ba-har-gam ada karta hun
kaun samjhega ye taslim-o-raza mere baad

saf-goi ka har ek karta hai dawa lekin
kis ne mahfil mein ye izhaar kiya mere baad

inqalab aaya zamane mein to kis ke dam se
kis ka lahja asar-andaz hua mere baad

khair maqdam ke liye khud badhi manzil meri
dur tak phir na chala us ka pata mere baad

bazm-e-duniya to hai 'maqsud' sara-e-fani
kya khabar kaun ho phir jalwa-numa mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close