yun to har hasin chehra ek gulab hota hai han magar tera jalwa la-jawab hota hai mujh se kaisi ranjish hai ham-nawa bata mere kyon sitam mere dil par be-hisab hota hai bijliyan jafaon ki kyon hamin pe girti hain raat-din hamin pe kyon ye azab hota hai zulf tere chehre par is tarah se hai jaise badliyon ke jhurmut mein mahtab hota hai chand rashk karta hai dekh kar tera chehra jab kabhi tu raaton mein be-naqab hota hai baat dil ki kah di hai aaj un se ai 'saghar' dekhna hai ab un ka kya jawab hota hai