yun to is bazm mein apne bhi hain begane bhi lekin ab dekhiye koi hamein pahchane bhi aashna rah mein katra ke guzar jate hain apne hi shahr mein hum ho gae anjaane bhi ab kahan jaen ki us se bhi talluq na raha apna ghar yaad nahin band hain maikhane bhi fikr-e-daman hai na kuchh jaib-o-gareban ki khabar kitne aaram se hain aap ke diwane bhi yun taaruf na sahi aap se lekin 'shahid' sunte aae hain bahut aap ke afsane bhi