yun to kahne ko ek qatra hun sach to ye hai ki juzw-e-darya hun allah allah ye meri tishna-labi main samundar bhi pi ke pyasa hun husn hi husn hai jidhar dekho sarhad-e-ishq langh aaya hun gham agar hai to bas mujhe ye hai rah ke apnon mein bhi paraya hun ham-nashin mujh se haal-e-zar na puchh ban ke nang-e-wajud aaya hun jis ko apna watan na ras aaya main wo sabarmati ka beta hun zarre zarre mein tera jalwa hai qatra qatra main tujh ko paya hun teri hi aarzu mein jita hun teri hi justuju mein marta hun zindagi apni dhup chhanw 'samia' gah hansta hun gah rota hun