yun to kya kya nazar nahin aata koi tum sa nazar nahin aata dhundti hain jise meri aankhen wo tamasha nazar nahin aata ho chali khatm intizar mein umr koi aata nazar nahin aata jholiyan sab ki bharti jati hain dene wala nazar nahin aata zer-e-saya hon us ke ai 'amjad' jis ka saya nazar nahin aata
Please share if you liked this!!!