yun to pahle bhi hue us se kai bar juda lekin ab ke nazar aate hain kuchh aasar juda gar gham-e-sud-o-ziyan hai to thahar ja ai jaan ki isi mod pe yaron se hue yar juda do ghadi us se raho dur to yun lagta hai jis tarah saya-e-diwar se diwar juda ye judai ki ghadi hai ki jhadi sawan ki main juda girya-kunan abr juda yar juda kaj-kulahon se kahe kaun ki ai be-khabron tauq-e-gardan se nahin turra-e-dastar juda ku-e-jaanan mein bhi khasa tha tarah-dar 'faraaz' lekin us shakhs ki saj-dhaj thi sar-e-dar juda