yun to mera safar tha sahra tak pyas le aai mujh ko dariya tak aaina sa use banane mein bhul baitha main apna chehra tak aana-jaana hai ab bhi sanson ka kar liya zindagi se jhagda tak aap manzil ki chhodiye sahab main ne thukra diya hai rasta tak nazr main ne kiya hai manzar ko aankhon ke baad ab kaleja tak