jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya kam-hauslon ne maut ko shafi samajh liya jo guftugu mein sab se zaruri tha wo sukhan un ki samaaton ne izafi samajh liya ek shart-e-justuju bhi thi manzil ke waste hum ne bas aarzu ko hi kafi samajh liya khuddari-e-junun mein in aankhon ne tere baad ashkon ko bhi wafa ke munafi samajh liya 'jazib' na jaane kaun si duniya ka shakhs tha jis ne sazaon ko bhi muafi samajh liya