yun to un ki mehrbani aur hai dil ke zakhmon ki nishani aur hai un ki mahfil maqtal-e-sad-arzu par hamari sakht-jaani aur hai aaine ko rakh liya hai ru-ba-ru be-zabani mein kahani aur hai kam thin kya hum par zamin ki sakhtiyan kyon bala-e-asmani aur hai hote hote rah gaya un ka karam shayad apni zindagani aur hai tum uthao saz main chhedun ghazal aaj mahfil par jawani aur hai ye bhi ek turfa tamasha hai 'farid' pyar par ek bad-gumani aur hai