kali jo dil ki khili thi masal gai tariKH

kali jo dil ki khili thi masal gai tarikh
bahaar jaise hi aai badal gai tarikh

jo pau phati to hamein hosh aaya raat gai
fareb aaj bhi de kar nikal gai tarikh

ek aur wade ka shiddat se intizar kiya
tumhaare wade ki jab bhi badal gai tarikh

bahut ghurur tha mazi pe aaj tak us ko
hamari rah mein aai to jal gai tarikh

jahan bhi zehn-e-rasa ne qadam uthae hain
riwayaton ko ye badh kar kuchal gai tarikh

kahaniyon ko haqiqat ka rup de dala
'farid' aap ke sheron mein dhal gai tarikh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close