yun to yusuf se hasin aur jawan the pahle aap se log zamane mein kahan the pahle roz-e-awwal se hain hum sokhta-dil kushta-e-gham aaj jaise hain yunhi shoala-ba-jaan the pahle ishq ne khol diye hum pe wo asrar-e-hayat jo zamane ki nigahon se nihan the pahle aakhir aana hi pada laut ke teri jaanib qafile dil ke ba-har-samt-e-rawan the pahle un bahaaron ko ajab rang mein paya hum ne jin se wabasta hasin wahm-o-guman the pahle wo siyah-bakht yahan mahw-e-fughan aaj bhi hain jo siyah-bakht yahan mahw-e-fughan the pahle marhale ishq ke aasan samajh baithe the 'mansha' hum log bhi kya sada-guman the pahle