tum apne husn pe ghazlen padha karo baithe ki likhne wale to muddat se hosh kho baithe taras gai hain nigahen ziyaada kya kahiye sanam sanam rahe behtar khuda na ho baithe khuda ke fazl se talim wo hui hai aam khirad to khair junun se bhi hath dho baithe bura kiya ki talatum mein na-khudai ki kinara bhi na mila naw bhi dubo baithe mariz-e-ishq ka jaldi janaza niklega kuchh aur der pata puchhte raho baithe tamam shahr mein banti hai dard ki khairaat hum us ki din ko dil mein nahin samo baithe tumhaari bazm bahut tang aur dasht wasia chale to aae ghadi-do-ghadi hi go baithe bujhi na aatish-e-dil hi kisi tarah 'rahil' wagarna yar to aankhen bahut bhigo baithe