yun tu har chhab wo nirali wo fusun-saz ki bas hae wo ek nigah-e-ghalat-andaz ki bas dekhne walo zara rang ka parda to hatao sina-e-gul pe hai zakhmon ka wo andaz ki bas dil ke daghon ko chhupaya to ubhar aae aur raazdari hi ne yun khol diye raaz ki bas hum ne bakhshi hai zamane ko nazar aur hamein yun zamane ne kiya hai nazar-andaz ki bas ranj-o-gham ishq-o-junun dard-o-khalish soz-o-firaq aise aise mile 'khawar' hamein dam-saz ki bas