yun un ke hasin rukh par zulfon ki har ek lat hai jaise gul-e-nazuk par patton ka ye ghunghat hai tazim karo yaro tazim karo yaro ye bar ki chaukhat hai sarkar ki chaukhat hai har haal mein rakhna hai saqi ka bharam tum ko mai-kash ho to pi jao gar jam mein talchhat hai ye jaan aur iman ki dushman hi sahi lekin angur ki ye beti zalim badi natkhat hai chehra ho mohabbat ho khushbu ho tabassum ho ji chahe jise dekho har shai mein milawat hai ab us ki mohabbat par kaise ho yaqin jis ke chehre pe hai naqqali baaton mein banawat hai ai 'nur' samajhna hai bhukamp ke maqsad ko ye qahr-e-ilahi hai ya waqt ki karwat hai