wo kitna dil-nashin kitna hasin hai

wo kitna dil-nashin kitna hasin hai
use bhi is ka andaza nahin hai

tasawwur mein koi zohra-jabin hai
nigahon mein har ek manzar hasin hai

mohabbat ho gai pakiza yani
koi arman ab dil mein nahin hai

nazar aata nahin apne ko main khud
ye kya sahar-e-nigah-e-awwalin hai

main kya jaun ab us ke aastan par
jabin sajdon ke qabil hi nahin hai

ye meraj-e-tasawwur hai ki wo ab
nazar ke samne hai aur nahin hai

wo manzil aa gai diwangi ki
na daman hai na jeb-o-astin hai

kisi ko kam kisi ko hai ziyaada
hai kaun aisa ki jis ko gham nahin hai

muqaddar par hun main ai 'nur' nazan
dar-e-jaanan hai aur meri jabin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close