yun wo ba-har lihaz mere bhaiyon mein tha ye aur baat hai ki tamashaiyon mein tha kuchh mahfilon mein tha na shanasaiyon mein tha jo lutf-e-anjuman meri tanhaiyon mein tha jalte hue makan ki khidki se jhank kar dekha to wo bhi shahr ke balwaiyon mein tha diwar-o-dar se jhank rahi thin nahusaten aaseb kis tarah ka ye angnaiyon mein tha